Thursday, June 17, 2010

Vietnaam


Mujhe yakeen he
Ki ab bhi tareekh ki adalat mein
waqt layega
Aaj ke bezameeroon-deeda-deleeri qaatil ko
Jiske damanoon-asteen
Khoon begunaahoon se tarbatar he
To nasl-e-adam
Vafoor-e-nafrat se roo-e-qatil pe thook degi
Magar mujhe iska bhi yakeen he
Ki kal ki tareekh
Nasl-e-aadmi se ye poochegi
"Ae muhzzabjahah ke makhlook "
Kal tere robaroo yahi bezameer katil
Tere qabeele ke begunahoo ko
Jab tah-teg kar raha tha
Tu tamashaioon ki soorat
Khamoosh va behis
Darindgi ke muzahiree me shareeq
Teri yah sab nafratein kahan thi
Bata ki is zulmkaish qaatil ki teghbarra mein
Aur teri maslehat ke teeroon mein
Farq kya he?
To soochta hoon
Ki hum sabhi kya jawab denge

-Ahmad Faraz